Google Adsense Earnings Boost Kaise Karen – Top 5 Ways 2019

Google Adsense Earnings Boost Kaise Karen – Top 5 Ways

Namashkar, google adsense world ka sabse popular or highest paid ad programme mana jata hai , jisse kaafi creators, Bloggers and YouTubers Money Generate Karte hain. Google Adsense ka sabse bad fayeda yeh hai ki aap puri tarh se is par bharosa kar sakte hain kyonki yeh Google jaise bade brand ke under work karta hai. But kaafi bloggers ka ek sawal zarur rehta hai ki Google Adsense Earnings Boost kaise kare ?

Is post mein man apko Google Adsense Earnings Boost ke kuch tips bataunga, jinko apna kar aap adsense ki income ko boost kar sakte hain, main janta hu ki chahe koi chota blogger ho yaa koi Pro blogger sabhi apne blog par 100% effort karte hain or sabke liye google ek jaise hi kaam karta hai.

Par fir bhi kaafi bloggers ke sath aisi problem aati hai ki woh apni adsense ki earning ko bada nhi paate, yahan main kuch aisi tips bataunga jinse aap apni Google Adsense Earnings Boost kar sakte hain.

Apni Google Adsense Earnings Boost Kaise Karen – Top 5 Ways

Use Keyword Planner Toolshttps://www.google.com/

Keywords Planner tools ka istemal karna acha hota hai agar ap apne AdSense earnings ke liye serious hain, Keyword planner tool apko ache keyword ke sath sath uska CPC (Cost Per Click) bhi bata hai. Agar us particular keyword ka CPC acha hain toh ap us keyword ko apni post mein us kar sakte hain and apko High CPC bhi mil skta hai.

Iske saath hi Keyword Planner Tool ka sabse bada fayda yeh bhi hota hai ki apke post par quality visitors yaani through search engines visitors aane ke chances zyada ho jaate hai and aise visitors agar apki ads par click yaa impression de toh apko acha rate milta hai AdSense par.

Google Adsense Earnings Boost Kaise Karen

Ad Placement

Ad Placement, apki adsense ki earnings ko boost karne mein bohot fayda deti hain, mostly bloggers ads placement design ko dhayan mein rakh kar karte hain taaki unke blog ki appearance achi dikhe, or isi wajah se woh kahin naa kahin apni earnings ko down kr dete hain.

Yahan par main apko kuch aisi places ke baare mein batana chahta hu, jahan apko clicks bhi mil skte hain or ache impressions bhi.

Apke logo ke right side par yaa header par agar ap ad placement krte ho toh ache impressions and clicks apko mil skte hain. Iske saath hi agar ap apni blog post ke bich mein ads placement karte hain toh definitely clicks and impression milte hain jisse earnings boost hoti hain. Ek Ad placement ap apne side bar mein bhi daal skte hain taaki apke widgets par impression dete waqt ads par bhi impression mark ho jaye.

Adsense Optimized Themes

Agar ads placement ki baat karen toh apko kaafi jagah mil jaati hai apni ads ko sahi jagah place karne ke liye agar ap ek adsense optimized theme use kar rhe hain. kaafi bloggers alag alag themes use karte hain jinme ads placement ki itni options nhi hoti or isi wajah se unk adsense revenue mein girawat rehti hai.

Yahan main kuch aisi Themes ka link de rha hu, jo adsense optimized hain and designs bhi acha hai, Ek Pro tip or share karna chahunga yahan ki hamesha apne blog par original or paid themes hi apply karen taki in future apko koi problem naa aaye.

  • Publisher
  • Newsmag
  • NewsPaper
  • MyThemeShop

Inke alawa or bhi adsense optimized themes apko internet par mil jayengi yaa aap google par search krke bhi iske baare mein jankari le sakte hain.

Choosing of Ad Blocks

Agar apke pass adsense account hai, toh ap yeh jante honge ki adsense alag alag size ki ad blocks provide karta hai or iske sath hi Text ya Images Ads ka bhi option apko milta hai.

Yahan ap apn blog ke hisaab se apni strategy create kar sakte hain, agar apne mera blog dhyan se dekh rahen hain toh apko dikhega ki maine apni blog posts ke bich mein orange and black color ki text ads daali hain, jo mere blog ke primary color ke sath match karta hai. Taaki impressions ke chances zyada ho or agar ap header ya sidebar check karen toh image ads dikhengi, kyunki yahan maine maximum ad size choose kiya hai or image ads daali hain taaki impressions mil sake.

Ap bhi isi tarah strategy create kar ke, apne blog ke sath experiment kar sakte hain, I hope apko results ache milenge.

Organic Traffic

Jaisa ki main upar points mein apko bata chuka hu ki agar apka visitor search engine result se aata hai toh apko zyada revnue generate hota as compare to agar apka visitor kisi social media site se direct hit karke apki site par aata hai. Yahan Organic traffic se mere saaf matlab apke visitors ke region se hain.

India mein adsense rate USA or UK se kam hain. Agar ap USA ya UK ke visitors ko targt karen toh apke adsense account par earnings zyada hongi. Kyunki in regions mein CPC bohot zyada hai.

Toh yeh thi kuch tips jinse ap apni google adsense earnings boost kar sakte hain, Still agar apko kuch bhi problem hai regarding adsense yaa meri koi baat apko samjh naa aayi ho toh niche zarur comment karen. hindihuide.in ki latest updates sabse pehle janne ke liye, Is blog ko subscribe karen, Shukriya.

Leave a Comment